Har kisi pe etibar na karna
Yu khud ko beqarar na karna

zindagi bhar tumhe rulayega
kisi ka intizar na karna

agar rona to khusk aankhon se
dukhoon ko ishtihar na karna

khushi ka ek pal bhi kafi hai
hazar ghum hoon, shumar na karna

use khud pe garoor aajaye
iss kadar us se pyaar na karna